💰"Maal ki Mohabbat"💰
👉 Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya,
💐"Tum me kaun hai jise apne maal se zyada apne waaris ka maal pyara ho, Sahaba ne arz kiya hum me koi aisa nahi jise maal zyada pyara na ho, Aap ne farmaya fir us ka maal woh hai jise usne (maut se) pehle (Allah ke raaste me kharch kiya) aur us ke waaris ka maal woh hai jise woh chor ke mara"💐
🌹Sahih Bukhari H#6442🌹
Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774
🌻"Pahaad ke barabar sona"🌻
👉 Abu Huraira (Radhi-Allahu-anhu) se riwayat hai,
💐"Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya 'Agar Mere paas Uhud pahaad ke barabar bhi sona ho to mujhe isme khushi hogi ke teen din bhi mujh per is haal me na guzarne paaye ke us me se Mere paas kuch bhi baaki bache, haan agar kisi ka Qarz door karne ke liye kuch rakh choru to ye aur baat hai"💐
🌹Sahih Bukhari H#6445🌹
Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774
🌺"Nabi (SAW) ki zindagi"🌺
👉 Ayesha (Radhi-Allahu-anha) se riwayat hai,
💐"Hamare upar aisa mahina bhi guzar jata tha ke chulha nahi jalta tha, sirf khajoor aur paani hota tha, haan kabhi kisi jagah se kuch thoda sa gost aa jata to usko bhi kha lete"💐
🌹Sahih Bukhari H#6458🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🌼"Sabse Pasandida Amal"🌼
👉 Ayesha (Radhi-Allahu-anha) se riwayat hai,
💐"Nabi-e-Kareem (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ko sab se zyada pasandida woh Amal tha jisko Aadmi hamesha karta hai"💐
🌹Sahih Bukhari H#6462🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🌻"Allah ka Shukr Ada karo"🌻
👉 Mugira (Radhi-Allahu-anhu) se riwayat hai,
💐"Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) itna Namaz padhte the ke Aap ke kadam phool jaate the, Aap se jab pucha jata ke Aap to bakshe hue hain to Aap farmate kya Mai Allah ka shukr guzaar banda na banu"💐
🌹Sahih Bukhari H#6471🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🌸"Do cheezon ki zimmedari"🌸
👉 Sahal (Radhi-Allahu-anhu) se riwayat hai, Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya,
💐"Mere liye jo shaksh dono jabdo ke beech ki cheez (Zabaan / Tongue) aur dono taango ke beech ki cheez (Sharmgaah) ki zimmedaari de de, Mai uske liye Jannat ki zimmedari deta hu"💐
🌹Sahih Bukhari H#6474🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🌸"Allah ke Arsh ka saya"🌸
👉 Abu Huraira (Radhi-Allahu-anhu), Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya,
💐"Saat tarah ke log woh hai jinhe Allah Ta'ala apne saye me panaah dega (un me) ek woh shaksh bhi hai jis ne tanhai me Allah ko yaad kiya to uski aankhon se aansoo (Tears) jaari ho jaye"💐
🌹Sahih Bukhari H#6479🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🔥"Jahannam aur Khwahishen"🔥
👉 Abu Huraira (Radhi-Allahu-anhu), Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya,
💐"Jahannam Nafsaani Khwahishaat se dhak di gayi hai aur Jannat Mushkilaat aur Pareshaniyon se dhaki hui hai"💐
🌹Sahih Bukhari H#6487🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
👪"Aulaad ki Tarbiyat"👪
💐"Aaj ke daur me Aulad ki Tarbiyat kaise karen Jaaniye Quran aur Hadees ke Roshni me Adv. Faiz Syed ki zubani"💐
👇Niche diye hue link pe click kijiye
👉 http://islamicaudios.net/aulad-ki-tarbiyat-adv-faiz-syed-mp3/
😊Share karne ke koi paise nahi lagte😊
🌼"Niche darje wale ko dekho"🌼
👉 Abu Huraira (Radhi-Allahu-anhu), Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya,
💐"Jab tum me se koi shaksh kisi aise aadmi ko dekhe jo Maal aur Shakal aur Soorat me us se badh kar ho to use aise Shaksh ka dhyaan karna chahiye jo us se kam darje ka ho"💐
🌹Sahih Bukhari H#6490🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🌺"Jab Amaanat zaaya ho jaye"🌺
👉 Abu Huraira (Radhi-Allahu-anhu), Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya,
💐"Jab Amaanat zaya ki jaye to Qayamat ka intezar karo Sahaba ne pucha Amaanat kis tarah zaya ki jayegi, Aap ne farmaya 'Jab kaam Naa-ahal (not deserving) logo ko de di jayegi to Qayamat ka intezar karo"💐
🌹Sahih Bukhari H#6496🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🔥"Ye sab Haraam hai"🔥
👉 Mugeera (Radhi-Allahu-anhu), Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya,
💐"Allah ne tum par Maa ki naa-farmani Haraam karaar di hai aur (Walidain ke huqooq) na dena aur Naa-Haq unse mutaalabaat karna bhi Haraam karaar diya hai, ladkiyon ko zinda dafan karna (bhi Haraam karaar diya hai) aur Faltu baaten, zyada sawaal aur maal ki barbaadi ko bhi Naa-pasand kiya hai"💐
🌹Sahih Bukhari H#5975🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🇮🇳"India ki Aazadi me Musalmano ka Role"🇮🇳
💐"Jaan ne ke liye niche diye hue link pe click kijiye aur Audio download kijiye"💐
👉 http://islamicaudios.net/azadi-main-musalmano-ka-role-abu-abdurrahman-dilawar-mp3/
🌹Is Audio ko itna share kijiye ke 26 January tak har Indian ise sun le🌹
🌼"Sharm-o-Haya"🌼
👉 Abu Huraira (Radhi-Allahu-anhu), Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya,
💐"Imaan ki saath (60) se zyada shaakhen (categories) hai aur Haya (Sharm / shyness) bhi Imaan ki ek shaakh hai"💐
🌹Sahih Bukhari H#9🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🌸"Wazu ki Fazilat"🌸
👉 Abu Huraira (Radhi-Allahu-anhu) Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya,
💐"Meri ummat ke log Wazu ke nishaniyon ki wajah se Qayamat ke din safed (white) peshaani aur safed haanth paaw walon ke shakal me bulaye jayenge, to tum me se jo koi apni chamak badhaana chahta hai to woh badhaale (wazu acche tarah se kare)"💐
🌹Sahih Bukhari H#136🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🌼"Jumah ki Fazilat"🌼
👉 Abu Huraira (Radhi-Allahu-anhu) Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya
💐"Jo shaksh jume ke din Ghusl janabat kar ke namaz padhne jaye to goya usne Oont (camel) ki Qurbani di (agar awwal waqt masjid me pahucha) aur agar baad me gaya to goya ek gaae (cow) ki Qurbani di aur jo teesre number pe pahucha to goya usne ek seengh wale mendhe ki Qurbani di aur jo koi chauthe number pe pahucha to goya usne Anda (egg) Allah ki raah me diya, lekin jab Imam khutbe ke liye bahar aa jata hai to Farishte khutba sunne me busy ho jate hain"💐
🌹Sahih Bukhari H#881🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🌼"Baal baccho per kharch karna sadqa hai"🌼
👉 AbdUllah bin Masood (Radhi-Allahu-anhu) Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya,
💐"Jab aadmi sawaab ki niyat se apne Ahl-o-ayaal per kharch kare to wo bhi uske liye Sadaqa hai"💐
🌹Sahih Bukhari H#55🌹
🌹Whatsapp pe Islamic messages paane ke liye contact +91-7738751774🌹
🔥"Rasool-Allah ki jung"🔥
👉 Ibn-Umar (Radhi-Allahu-anhu) Rasool-Allah (Sal-Allahu-alaihe-wasallam) ne farmaya
💐"Mujhe Allah ne hukm diya hai ke logo se jung karu us waqt tak ke woh is baat ko maan le ke Allah ke siwa koi Ma'bood nahi hai aur Mohammad Sal-Allahu-alaihe-wasallam Allah ke sacche Rasool hai aur Namaz ada karne lage aur Zakat de, jis waqt woh ye...